Tumhare sheher ka mausam bada suhana lage Main ek shaam chura loon agar bura na lage Tumhare bas mein agar ho to bhool jao humein Tumhe bhulane mein shayad mujhe zamaana lage
Zamaana lage, zamaana lage Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage Zamaana lage, zamaana lage Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage
Maana meri hee khata hai iss dafa Kal hum pe jo fida tha, ab khafa Yoon hee na berukhi, rag yoon hee na dukhi Dard seene mein uth raha hai baaraha
Tu iss tarah se mere saath bewafayi kar Tu iss tarah se mere saath bewafayi kar Ki tere baad mujhe koi bewafa na lage
Zamaana lage, zamaana lage Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage Zamaana lage, zamaana lage Tumhe bhulane mein (Bhulane mein) mujhe zamaana lage